Jab Tak Hai Jaan - The Poem Lyrics | Shahrukh Khan

Shree
0

 Jab Tak Hai Jaan - The Poem Lyrics | Shahrukh Khan

Jab Tak Hai Jaan - The Poem Lyrics | Shahrukh Khan

The Poem Lyrics from Jab Tak Hai Jaan

Jab Tak Hai Jaan (Poem) is a Hindi song from the 2012 movie Jab Tak Hai Jaan. Singer is Shahrukh Khan & Composer is A.R. Rahman. Lyricist or song writer is Gulzar. Features Shahrukh Khan, Katrina Kaif, Anushka Sharma. The audio of Jab Tak Hai Jaan (Poem) song was released on 13th November, 2012 by YRF Music.

Jab Tak Hai Jaan -The Poem Lyrics In English

Teri aankhon ki
Namkeen mastiyan
Teri hansi ki beparwaah
Gustakhiyaan
Teri zulfon ki
Leharaati angdaiyaan
Nahi bhoolunga main
Jab tak hai jaan
Jab tak hai jaan

Tera haath se haath chhodna
Tera saayon se rukh modna
Tera palat ke phir na dekhna
Nahin maaf karunga main
Jab tak hai jaan
Jab tak hai jaan

Baarishon mein bedhadak
Tere naachne se
Baat baat pe bewajah
Tere roothne se
Chhoti chhoti teri
Bachkani badmashiyon se
Mohabbat karunga main
Jab tak hai jaan
Jab tak hai jaan

Tere jhoothe kasme vaadon se
Tere jalte sulagte khwabon se
Teri be-raham duaaon se
Nafrat karunga main
Jab tak hai jaan
Jab tak hai jaan.

The Poem Lyrics


If You like the lyrics, please share it with your friends...
Thank You, Visit Again...

Post a Comment

0Comments

Post a Comment (0)