Zaroori Tha Lyrics - Rahat Fateh Ali Khan
Zaroori Tha Lyrics by Rahat Fateh Ali Khan is Heart Touching sad song sung, written and composed by Rahat Fateh Ali Khan while this fabulous song featuring Kushal Tandon, Gauhar Khan.
Zaroori Tha Lyrics In English
Lafj Kitne Hi
Tere Pairon Se Lipte Honge
Tune Jab Aakhiri Khat
Mera Jalaya Hoga
Tune Jab Phool
Kitabon Se Nikale Honge
Dene Wala Bhi Tujhe
Yaad Toh Aaya Hoga
Teri Aankhon Ke Dariya Ka
Utarna Bhi Zaroori Tha
Mohabbat Bhi Zaroori Thi
Bichadna Bhi Zaroori Tha
Zaroori Tha Ke Hum Dono
Tawaaf-E Arzoo Karte
Magar Phir Arzoo’on Ka
Bikharna Bhi Zaroori Tha
Teri Aankhon Ke Dariya Ka
Utarna Bhi Zaroori Tha
Batao Yaad Hai Tumko
Woh Jab Dil Ko Churaya Tha
Churayi Cheez Ko Tumne
Khuda Ka Ghar Banaya Tha
Woh Jab Kehte The Mera Naam
Tum Tasbeeh Mein Padhte Ho
Mohabbat Ki Namazo Ko Kaza
Karne Se Darte Ho
Magar Ab Yaad Aata Hai
Woh Baatein Thi Mehaz Baatein
Kahin Baaton Hi Baaton Mein
Mukarna Bhi Zaroori Tha
Teri Aankhon Ke Dariya Ka
Utarna Bhi Zaroori Tha
Wahin Hai Sooratein Apni
Wahin Main Hoon Wahin Tum Ho
Magar Khoya Hua Hoon Main
Magar Tum Bhi Kahin Gumm Ho
Mohabbat Mein Daga Ki Thi
Jo Kaafir The So Kaafir Hain
Mili Hain Manzilein Phir Bhi
Musafir The Musafir Hain
Tere Dil Ke Nikaale Hum
Kahan Bhatke Kahan Pahunche
Magar Bhatke Toh Yaad Aaya
Bhatakna Bhi Zaroori Tha
Mohabbat Bhi Zaroori Thi
Bichadna Bhi Zaroori Tha
Zaroori Tha Ke Hum Dono
Tawaef-E Arzoo Karte
Magar Phir Arzoo’on Ka
Bikharna Bhi Zaroori Tha
Teri Aankhon Ke Dariya Ka
Utarna Bhi Zaroori Tha